Pregnancy ke lakshan kya hai in hindi: Jadatar mahilaye periods naa aane ko hi pregnant hone ke symptoms me dekhti hai par iske ilava kuch aur lakshan bhi hai jisse aap garbhwati hone ki pehchan kar sakti hai. Shuruaat me pahle aur dusre hafte me garbhavastha ke lakshan kam dikhte hai par agar shuru ke 1 week se 1 month me garbhadhan ke bare me pta chal jaye to jaruri upay karne aasan ho jate hai aur jinhe jaldi pregnancy nhi chahiye ve bhi starting symptoms dekh kar pregnant hone se bach sakti hai. Bahut si mahilao ka aksar ek sawal hota hai ki kaise jane ki ve pregnant hai ya nahi. Aaj hum garbhavastha ke shuruaati lakshan ke bare me janenge, before missed period very early symptoms of pregnancy first week in hindi.
First week me mahila ke garbh me bhrun ke banne ki sirf shuruat hoti hai uska vikas shuru nahi hota. Agar aapko garbhwati hone ki sambhavna hai to prarambhik lakshan dekh kar jaan sakti hai ki kya aap pregnant hai ya nahi.
Garbhavastha ka Pahla Saptah : First Week of Pregnancy in Hindi
- Pregnancy ke first week me mahila ke shahir ke andar kai badlav chal rahe hote hai par is samay sharir ke bahar kisi tarah ka koi badlav nahi hota.
- Normal days me mahila ko periods time par ya fir aage piche hote hai par pregnancy ke dauran sabse pahla lakshan hai periods aane band ho jana.
Pregnancy ke Lakshan Kya Hote Hai
Starting Symptoms of Pregnancy in Hindi
Garbh teharne ke prarambhik lakshan ke aadhar par aap pregnancy ki pehchan kar sakti hai aur fir test se pregnancy ko confirm kar sakti hai. Garbhdharan kab hota hai iske liye lakshano ki pehchan hona jaruri hai. Aaiye jane pregnancy symptoms in hindi.
1. Periods Aana Band Hona
1. Garbhavastha ke prarambhik lakshan me pahle 2 hafto me periods band hona aata hai. Garbh teharne ke baad mahila ki mahawari aana ruk jati hai.
2. Agar aapko pregnancy ki sambhavna lag rahi hai aur aapke periods bhi nhi ho rhe hai to ye pregnant hone ke lakshan ho sakte hai.
3. Kuch mahilao ko shuru ke 2 weeks me halki bleeding bhi ho jati hai, par sirf periods missed hone ke aadhar par mahila ko garbhwati nhi maan sakte kyu ki periods miss hone ke aur bhi karan ho sakte hai.
2. Ulti Aana aur Ji Machalna
- Periods rukne ke baad 2 week me ji machalna aur ulti aane ki samasya hoti hai. Is aadhar par garbh teharne ka pta laga sakte hai.
3. Munh ka Taste Badalna
- First week pregnancy me munh ka sawad kadwa ho jata hai. Aese me kuch bhi khate hai uska jayaka nhi milta bas khatti chijo ka taste hi pehchan pate hai.
4. Pet me Gas Banna aur Sine me Jalan Hona
- Pregnant lady ke sharir me hone wale badlaav se pachak kriya par bhi asar padta hai jis karan pet me gas banne ki shikayat jada hoti hai. Pet me gas ki samasya 1 week se 9 month tak reh sakti hai.
- Pachan tantar me badlav se seene me jalan hona bhi normal hai. Achanak se agar aap chaati me jalan mehsus kar sakte hai.
5. Kabj ki Shikayat Hona
Harmons changes hone ke karan digestion system slow hone lagta hai aur aese me mahila ko kabj ki shikayat bhi hone lagti hai.
- Jane Kabj ka gharelu ilaj kaise kare
6. Peshab Jada Aana
1. Pregnancy ke dauran body me kai changes hote hai jis karan harmons me badlaav aate hai jis wajah se kidney me blood circulation tej hone lagta hai aur bladder me peshab jaldi bhar jata hai. Is karan bar bar peshab hone ki samasya aa sakti hai.
2. Urine bar bar aana pregnancy ke symptoms me se ek hai. Jese jese bache ka vikas hoga ye samasya bhi badhne lagegi.
7. Breast me Badlav Aana
- Mahila ki breast ka aakar badlana bhi pregnancy ke starting lakshan me se ek hai. Pregnant hone par first 2 weeks me breast me sujan aane lagti hai jisse unke size me badlav najar aane lagta hai.
- Stan mulayam aur sujan dikhne par aap pregnancy test kar ke ise confirm kar sakti hai.
8. Sir Me Dard Rehna
Shuruati kuch dino me sir me dard rehna bhi pregnancy ke sanket ho sakte hai. Sir dard ki problem harmons me aaye badlav ke karan ho sakti hai.
9. Mood Change Hona
- Garbhavsatha ke pahle hafte me lakshan dikhne ke ilava sawbhav me chidchidapan aana, jaldi gussa aana, jada thakan hona aur tanav me rehna hona aam hai.
- Upar btaye gye lakshano me se agar aap ko kuch lakshan dikh rhe hai to starting me ghar par hi pregnancy test kar sakti hai.
Garbhadhan ke Baad Kya Khana Chahiye
- Pregnant hone ke shuruati lakshan baad mahila ko apne khane pine me kuch badlaav karne chahiye, jese ki sharab, smoking aur any nashili chijo ke sevan se parhej karna chahiye.
- Lambe samay tak freeze me rakha khana naa khaye. Iske ilava kuch bhi jada thanda ya jada garam khane se bache.
- Falo aur sabjiyo ka juice apne aahar me shamil kare.
- Pregnancy ke baad starting me doctor se salah le kar vitamin B ka sevan kare. Isse bacha janam se hi dimag aur reedh ki haddi ki samasyao se bacha reh sakta hai.
- Jane Sundar baby ke liye pregnancy me kya khaye
Pregnant Hone Par Kya Kare
- Pregnancy ke bare me confirm hone ke baad sabse pahle doctor se contact kare aur apni dincharya ke bare me bataye taki doctor aapko sahi salah de sake.
- Aahar me protein, vitamin aur calorie ki matra bdha de par vitamin C aur E ki kitni matra le is bare me doctor se ray le.
Dosto Pregnancy ke Lakshan Kya Hote Hai, First Week Starting Symptoms of Pregnancy in Hindi ka ye article kaisa laga hame bataye aur agar aapke pass pregnant hone garbhavastha ke shuruaati lakshan kya hai se jude sujhav hai to hamare sath share kare.
The post प्रेग्नेंट होने के शुरुआती 10 लक्षण : Pregnancy Symptoms in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.
No comments:
Post a Comment