वजन बढ़ाने और मोटा होने के लिए डाइट – Weight Gain Diet Chart in Hindi | Alienture हिन्दी

Breaking

Post Top Ad

X

Post Top Ad

Recommended Post Slide Out For Blogger

Friday 3 November 2017

वजन बढ़ाने और मोटा होने के लिए डाइट – Weight Gain Diet Chart in Hindi

Weight gain diet chart in hindi: Motapa badhana ho ya vajan kam karna ho aasan kuch bhi nahi, par sahi tarike se diet plan ko regular follow kiya jaye to kuch mushkil bhi nhi hai. Male ho ya female mota hone ki diet chart me sabse jaruri hai aese foods khaye jisme high calorie ho aur weight increase karne me mdad mile. Aksar kuch logo ka ek sawal hota hai ki ve vegetarian hai aur non veg foods nahi khate aese mein mota hone ke liye kya karna hoga. Kuch log jaldi vajan badhane ke liye powder, capsule aur tablet name janna chahte hai. Aaj is lekh me hum aapki is pareshani ko kam karne ke liye diet tips aur upay bta rahe hai jisse 1 month me weight badhane me farak dikhne lagega. Aaiye jane vegetarian diet chart for weight gain tips for male and female, tips in hindi.

Bahut se aese boys aur girls hai jo kehte hai ki ve khate pite to bahut hai fir bhi unka sharir dubla aur patla hai unhe kuch bhi khaya piya nhi lagta. Iska ek karan digestion thik naa hona ya fir pet ka koi rog hona ho sakta hai.

Weight gain diet chart in hindi, वजन बढ़ाने के लिए डाइट चार्ट

 

Apna Sahi Weight Jane

  • Wajan jab normal se kam ya jada hota hai tab hum apni lifestyle aur diet me kami nikalte hai par kya ye sach hai. Women me thyroid aur harmons me garbadi ki wajah se bhi motapa jada aur kam hone jesi problem hoti hai.
  • Vajan badhane ke liye diet plan karne se pahle aap ko apne weight kam hone ke karan ki jankari hona jaruri hai aur sath hi apni body ke bare me bhi malum hona chahiye.

 

Jaldi Vajan Badhane Ke Liye Calorie

  • Weight gain karna ho ya fir kam ho, bhojan me li jane wali calorie ka dhyan rakhna sabse jaruri hota hai. Jada calorie matlab jada vajan.
  • Dublapan dur karne aur mota hone ke liye har roj 2500 se 3000 calorie ki jarurat hoti hai.
  • Aapka vajan tabhi badhega jab aap apni jarurat se 500 calorie jada lenge.
  • Jada calorie lene ka matlab ye nahi ki kuch bhi khaye. Healthy aur sahi tarike se weight gain ke liye apne diet chart me protein aur carbohydrates wale foods par jada dhyan dena hoga.

 

Vajan Badhane Ke Liye Diet Tips

Weight Gain Diet Chart in Hindi

Jaldi weight badhane ke liye hum ek diet chart ke bare me bta rahe hai jisme vegetarian aur non veg dono tarah ke foods shamil kiye hai aur breakfast, lunch aur dinner me kya khaye ye bhi janenge. Aap apni body ke anusar is diet plan me kuch changes kar ke ise follow kar sakte hai.

 

1. Weight Gain Breakfast Plan in Hindi

1. Nashta karne se pahle early morning breakfast (subah) me 1 gilass doodh, 2 ande (safed bhag) aur 5 se 6 bhige hue badam khaye. Agar aap ande nhi khate to iski jagah 2 kele kha sakte hai.

2. Breakfast me 1 cup dahi aur 2 paranthe ya fir 2 egg ka omlete aur bread toast khaye ya 2 ubale hue aaloo, 100-150 gram paneer.

3. Nashta karne ke 2 ghante baad mid morning food mein thodi mungfali ya sukha meeva, 1 gilass lassi.

 

2. Lunch Me Kya Khaye

  • 1 cup salad, 1 catori soup, 1 cup daal, 2 roti ghi lagi hui, 1 se 2 catori mix sabji, 1 cup chawal.
  • Daal me 1 se 2 chammach desi ghi milaye.
  • Lunch ke 1 se 2 ghante ke baad 1 gilass doodh, 2 kele, 1 se 2 chammach shahad, 1 chammach alsi, 1 chammach peanut butter aur sawad ke liye thodi chocolate. In sab ko mila kar shake banaye aur piye.

 

3. Evening Time

  • Sham ko chai ya coffee ke sath biscuit le sakte hai.
  • Sham ke baad aur raat ke khane se pahle mid evening me ek mutthi roasted soyabean ya thode badam khaye.

 

4. Mota Hone Ke Liye Dinner Diet Plan

  • Raat ke khane me 1 catori soup, 1 cup chawal, 1 cup daal, 2 roti, 2 catori mix sabji, 1 cup salad.
  • Ya
  • 3 se 4 ubale hue ande (safed bhag) ya 100 gram paneer ya 100 gram chicken/fish aur daal, sabji, chawal roti.
  • Raat ko sone se pahle 1 gilass doodh. Doodh me shahad mila kar pine se vajan teji se badhta hai.

 

Vajan Badhane Ke Liye Aahar : Weight Gain Foods List in Hindi

  1. Vajan badhane wale aahar me protein wale foods khaye jese ki anda, fish, chicken, doodh aur doodh se bani chije, ankurit chane, soya milk, beans, meeva, faliya.
  2. Paneer, makkhan, ghi.
  3. Sabut aanaj, genhu wale biscuit.
  4. Ghi wali roti, oat meal, brown rice, bajare ki roti.
  5. Sukha meeva  (dry fruits) – kishmish, akhroat, bada, kharbue ki giri
  6. Hari sabjiya, faliya, dale, chawal ki kheer.
  7. Fal, falo ka ras, kela, kharbuja, sabjiyo ka soup.
  8. Shahad aur shahad se bani hui chije.

 

Mota Hone Ke Liye Diet Plan Tips in Hindi

  • Vajan badhana hai to subah ka nashta heavy kare aur raat ko dinner halka khaye.
  • 7 days diet chart for weight gain ke liye high protein aur high calorie foods aahar me shamil kare, par aap koi bhi non veg ya vegetarian diet follow kare asli farak 20 din me mehsus hoga. Uske baad har 10 days me aap farak mehsus karenge.
  • Bhukh naa hone par bhi har 2 se 3 ghante me kuch healthy jarur khaye.
  • Motapa badhane ke liye exercise, yoga aur morning – evening walk ko bhi daily routine me shamil kare.
  • Quick weight gain ke liye fast food, burger, pizza se dur rahe, inme calorie jarur jada hoti hai par ye body ko mota nahi bimar banati hai.
  • Thyroid ki wajah se agar kisi mahila ka weight kam hai to use doctor ki salah se hi apna diet chart banana chahiye taki thyroid control me rahe aur vajan bhi badh sake.
  • Pet me gas ya kabj ki shikayat hai to turant iska ilaj kare kyuki jab tak digestion acha nhi hoga tab tak mota hone ki sari koshish bekar hai.

 

Mota Hone Ka Powder Aur Tablet

  • Kuch log mota to hona chahte hai par uske liye ya to mehnat nahi karna chahte ya unke pass koi diet chart follow karne ka time nhi hota. Aese me ve jaldi mota hone ke liye tablet, capsule aur powder name janna chahte hai.
  • Dosto tablet ya powder khane se ho sakta hai ki ek bar aap ka vajan badh jaye par inhe chodne ke baad aap ka vajan fir se kam hone lagta hai aur body dhili padne lagti hai.
  • Kai bar kuch medicine aur supplements ke istemal se side effect bhi ho jate hai. Isliye hum yahi salah denge aap weight gain ke liye natural tarike hi apnaye.
  • Gharelu nuskhe aur ayurvedic dawa jaldi mota hone me behad upyogi hai aap powder ki bajay inka sevan kare to jada behtar hai.

 

Dosto Mota hone ke liye kya khaye, Weight gain diet chart  in hindi (Vegetarian) ka ye lekh kaisa laga hame bataye aur agar aap ke pass 7days, 10 days, 1 month me vajan badhane ke liye tips aur weight increase diet plan for female and male hai to hamare sath share kare.

The post वजन बढ़ाने और मोटा होने के लिए डाइट – Weight Gain Diet Chart in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad