वजन कम करने के लिए नाश्ते में क्या खाएं – Weight Loss Breakfast in Hindi | Alienture हिन्दी

Breaking

Post Top Ad

X

Post Top Ad

Recommended Post Slide Out For Blogger

Saturday 29 September 2018

वजन कम करने के लिए नाश्ते में क्या खाएं – Weight Loss Breakfast in Hindi

Vajan kam karne ke liye nashte me kya khaye: Apna badhta hua vajan aur motapa ghtane ke liye log bahut se tarike apnate hai jese yoga exercise gym aur gharelu nuskhe. Par agar in sabke sath agar ek weight loss diet chart bhi apnaya jaye to jaldi fayda milta hai. Kuch log teji se motapa kam karne ke liye apna khana peena bahut kam kar dete hai aur isi dauran ve ek aur galti karte hai jo hai subah ka nashta na karna. Bhukha reh kar ek bar to aap apna vajan kam kar lenge par jab khane peene lagenge tab vajan fir badhne lagega. Sahi tarike se vajan ghatana hai to dieting karne ki bajay ye jane ki vajan kam karne ke liye kya khana chahiye aur kya na khaye. Aaj is lekh me hum janenge motapa kam karna ke liye subah nashte me kya khana chahiye, weight loss breakfast in hindi.

वजन कम करने के लिए नाश्ते में क्या खाएं, Weight loss breakfast in hindi

 

नाश्ता जरूर करना चाहिए – Breakfast Na Karne Ke Nuksan

  • Jaldi vajan ghatana hai to subh ka nashta karna sabse jaruri hai. Isse body metabolism acha hota hai jisse vajan ghatane ka process tej hota hai.
  • Aksar kuch log dieting ya fir subh deri hone ki vajah se breakfast nahi karte aur din me jab bhukh lagti hai to bahar ka fast food kha kar pet bhar lete hai. Vajan badhne ka ye parmukh karan hota hai.
  • Subh agar nashta sahi tarike se kiya jaye to din bhar body me energy mehsus hoti hai jisse aap active rehte hai.
  • Breakfast hamesha halka, healthy aur poshak tatvo se bharpur hona chahiye.

 

मोटापा कम करने के लिए नाश्ते में क्या खाना चाहिए

Weight Loss Breakfast in Hindi

 

1. Subah nashte me multigrain bread sandwitch khana ek accha aahar hai. Sandwitch banane ke liye sabjiyo ka paryog kare aur aap chahe to isme thoda paneer bhi daal sakte hai. Isme vitamin B, E, iron aur jinc hote hai jisse pure din sharir me takat rehti hai.

2. Breakfast me anda jarur shamil kare. Egg me protein, vitamin B aur E hote hai. Motapa kam karna hai to ande ka safed hissa hi khaye kyuki peele wale bhag me fat ki matra adhik hoti hai.

3. Ankureet kiye hue chane aur daal vajan ghatane me kafi asardar hai. Isme energy bharpur hoti hai isliye agar subh nashte me inhe khaye to din bhar body active rahti hai.

4. Poha aur upma bahut se gharo me breakfast me khaya jata hai. Inhe banane me sabjiyo ka paryog hota hai. Isme protein, fiber aur carbohydrates hote hai jo sharer ko takat dete hai aur vajan bhi nahi badhne dete.

5. Vajan ghatane ke liye nashte me dahi khana chahiye. Isse sharer me jama fat kam karne me mdad milti hai. Agar aap nashte me mithi dahi khate hai to dahi me fruits mila kar khaye.

6. Nashte me fal bhi kha sakte hai. Falo me sabse pahla naam hai seb. Seb me fiber adhik hote hai aur ye pet ki charbi ko teji se kam karne me mdad karta hai.

7. Teji se vajan ghatana hai to nashte me ubali hui sabjiya khaye. Ubali hui sabjiya aasani se pach jati hai aur sharer ko jaruri poshan bhi deti hai. Agar aap kachi ubali hui sabji nahi kha pa rahe to inhe sandwitch ya omlete me mila kar khaye.

8. Oats nashte me khana bhut logo ko pasand hai. Oatmeal khane se pet bhra rehta hai, jaldi bhukh nahi lagti aur teji se fat ghat ta hai.

9. Pet ki charbi aur motapa kam karne ke liye green tea peena bhi ek aasan aur acha upay hai. Subh green tea peene se tanav kam hota hai, weight control me rehta hai aur fat kam hota hai.

10. Avocado ek aesa fal hai jisme kai parkar ke poshak tatv paye jate hai jo vajan ghatane me upyogi hai. Agar aap apne nashte me avocado khate hai to kuch din me hi aap ko farak dikhne lagega.

 

वजन कम करने वाले आहार और फल – Vajan Kam Karne Wale Aahar in Hindi

  • Weight kam karne ki sabji me hari sabjiya aur palak ka naam pahla hai. Agar aapko bahar ka fast food aur jada calorie wale food khane ki icha hoti hai to hari sabjiya aur palak se bahar ka khane ki iccha kam hoti hai.
  • Daal protein aur vitamin ka sabse acha aahar hai. Isme fiber ki matra bhi jada hoti hai aur ye body fat ghatane me bhi upyogi hai.
  • Adarak pachan kriya ko swasth rakhne aur motapa ghatane me mdad karti hai.
  • Vajan kam karne wale fal me seb, santra, tarbuj, papita, avocado, amrud, nariyal, kela kuch aese fruits hai jo teji se weight loss karne me kargar hai.
  • Dry fruit khane se bhi vajan kam karne me mdad milti hai. Badam aur akhroat khaye inme protein, fiber, vitamin B hote hai jisse jada bhukh nhi lagti aur body me energy bhi bani rehti hai.
  • Pet ki charbi kam karne ke upay me subh khali pet lahsun khaye. Lahsun ke sevan se metabolism tej hota hai aur weight kam karne me mdad milti hai.

 

वेट लॉस टिप्स – Vajan Kam Karne Ke Tips

  • Breakfast jarur kare.
  • Din bhar 3-4 liter paani piye.
  • Raat ko jaldi aur halka khana khaye.
  • Namak ka sevan kam karna chahiye.
  • Ek bar me hi pet bhar khana na khaye.

 

Dosto Vajan kam karne ke liye subah nashte me kya khaye, weight loss breakfast in hindi ka ye lekh kais alga hame btaye aur agar aap ke pass teji se motapa ghatane wale food fruits aur diet plan se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

The post वजन कम करने के लिए नाश्ते में क्या खाएं – Weight Loss Breakfast in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad