*****
सभी का धूप से बचने को सर नहीं होता
सभी का धूप से बचने को सर नहीं होता
हर आदमी के मुक़द्दर में घर नहीं होता
कभी लहू से भी तारीख़ लिखनी पड़ती है
हर एक मारका बातों से सर नहीं होता
मैं उस की आँख का आँसू न बन सका वर्ना
मुझे भी ख़ाक में मिलने का डर नहीं होता
मुझे तलाश करोगे तो फिर न पाओगे
मैं इक सदा हूँ सदाओं का घर नहीं होता
हमारी आँख के आँसू की अपनी दुनिया है
किसी फ़क़ीर को शाहों का डर नहीं होता
मैं उस मकान में रहता हूँ और ज़िंदा हूँ
‘वसीम’ जिस में हवा का गुज़र नहीं होता
सर – किसी मुश्किल कार्य को पूर्ण करना, विजय प्राप्त करना
मारका – युद्ध, लड़ाई, महत्वपूर्ण कार्य
सदा – पुकार
वसीम बरेलवी
<—– निगाहों के तक़ाज़े चैन से मरने नहीं देते
वसीम बरेलवी की ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Sabhi Ko Dhoop Se Bachne Ko Sar Nahi Hota
Sabhi ko dhoop se bachne ko sar nahi hota
Har aadami ke muqddar mein ghar nahin hota
Kabhi lahoo se bhi taarikh likhani padti hai
Har ek maarqa baaton se sar nahin hota
Main us ki aankh ka aansoo na ban saka warna
Mujhe bhii khaak mein milane ka dar nahin hota
Mujhe talaash karonge to phir na paaoge
Main ik sada hoon sadaaon ka ghar nahin hota
Hamari aankh ke aansoo ki apani duniya hai
Kisi fakeer ko shaahon ka dar nahin hota
Main us maqaan mein rahta hoon aur zinda hoon
‘Waseem’ jis mein hawa ka gujar nahi hota
Waseem Barelvi
<—– Nigahon Ke Taqaze Chain Se Marne Nahi Dete
Waseem Barelvi ki Ghazalon aur Shayariyon ka Sangrah
*****
Tag – Famous, Best, Latest, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Meaning, Hindi, Urdu, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर, हिंदी, उर्दू,
The post Waseem Barelvi- Sabhi Ko Dhoop Se Bachne Ko Sar Nahi Hota | वसीम बरेलवी- सभी का धूप से बचने को सर नहीं होता appeared first on Ajab Gjab | Hindi.
No comments:
Post a Comment