Green tea ke fayde aur nuksan in hindi: Green tea ke benefits dekhte hue pichle kuch samay se iska isteemal kaafi badh gya hai. Jadatar log weight loss ke liye iska sevan karte hai, par motapa aur pet ki charbi kam karne ke ilava skin aur balo ke liye bhi ye kafi faydemand hai. Iske ilava rojana green tea peene se kai rogo se bachne aur unke ilaj me bhi mdad milti hai, par iska pura fayda tabhi milta hai jab ise peene ka sahi time aur sahi tarika malum ho. Patanjali or lipton green tea aajkal kafi chalan me hai. Aaiye jane green tea benefits in hindi for skin, hair, weight loss and other health problems.
ग्रीन टी बनाने की विधि – Green tea kaise banaye
- Ek bartan le aur usme 1 cup paani ubaal le.
- Agar aap pattiyo wali green tea istemal kar rhe hai to isme aadhe se ek chammach pattiya dale aur 2 minute ke liye bartan ko dhak de fir ise chaan kar piye.
- Green tea bag paryog kar rhe hai to khali cup me garam paani daal kar isme tea bag dale aur kuch der tak bag ko hilaye fir piye.
- Aap chahe to isme shahad aur ilaychi powder bhi mila sakte hai.
- Lipton green tea tulsi, nimbu aur shahad ke sawad me bhi aati hai ise bhi istemal kar sakte hai.
ग्रीन टी के फायदे क्या है
Green Tea Benefits in Hindi
1. Cancer jese gambhir rog se bachne aur iske ilaj me green tea peene se kaafi mdad milti hai. Ye body me cancer cells badhne se rokta hai. Green tea har roj pine se women me breast cancer hone ki sambhavna 20% tak kam hoti hai aur men me muh ka cancer, prostate cancer hone ke chances bhi kam hote hai.
2. Sugar ke rogi ke liye bhi green tea peena acha upay hai. Ye body me blood sugar level ko control karta hai aur type 1 or 2 dono tarah ki diabetes me upyogi hai.
3. Green tea har roj pine se high blood pressure ki sambhavna ko kam kiya ja sakta hai. Ise pine se high bp ki samasya me 50% tak kami aati hai.
4. Cholesterol kam karne ke liye bhi hari chai faydemand hai. Iske sevan se body me bad cholesterol ka level kam hota hai aur good cholesterol ka level badhta hai. Regular green tea pine se heart attack aur heart ki problems ka khatra bhi kam hota hai.
5. Green tea ke fayde balo ke liye bhi achuk hai. Ye hairs ke liye conditioner ki tarah kaam karti hai. Green tea paani me ubaal kar is paani ko thanda hone de aur isse baal dhoye, is gharelu nuskhe se baalo ka jhadna kam hota hai aur baal sundar hote hai.
6. Munh ki badboo aur mouth ki dusri problems dur karne ke liye bhi green tea ka sevan karne se fayda milta hai. Green tea muh me un bacteria ko khatam karta hai jinke karan munh me infection hota hai aur munh me badboo, mouth cancer aur payriya jese rog hote hai.
7. Lagatar kaam karne ki wajah se agar susti aur thakan ho jaye to 1 cup green tea piye. Is upay se aap fresh mehsus karenge. Iske regular use se body ka stamina badhta hai.
8. Green tea me antioxidant aur vitamin C bharpur hota hai jo body ke free radicals khatam kar ke body ki immunity badhata hai.
9. Weight loss karne aur motapa kam karne ke upay me green tea peene se fayda milta hai. Green tea me caffeen ki matra adhik hoti hai jo pet ki charbi ghatane me mdad karti hai. Khane khane ke kuch der baad 1 cup green tea piye.
10. Skin ke liye green tea kafi faydemand hai. Umar badhne ke sath sath chehre ki tvacha dhili padne lagti hai aur face par jhuriya dikhne lagti hai. Har roj green tea pine se chehre ka glow bana rehta hai aur skin dhili nahi padti.
ग्रीन टी पीने के नुकसान – Green tea side effects in hindi
- Green tea me caffeen jada hoti hai isliye adhik matra me iske sevan se neend na aana, ulti, dast, pet ki kharabi aur bar bar peshab aana jesi samasya aa sakti hai.
- Iska sevan adhik karne se bhukh kam lagti hai. Isliye chote bacho ke liye iska sevan karna thik nahi hai.
- Green tea jada peene se sharir me iron ki kami ho sakti hai.
- Pregnancy ke dauran green tea nuksan kar sakti hai. Iske ilava jo mahilaye pregnant hone ka soch rhi hai unhe bhi iska sevan nahi karna chahiye.
- Agar aap kisi bimari ke ilaj ke liye koi dawa le rahe hai to dhyan rahe koi medicine aur green tea dono sath me naa le.
Dosto Green tea ke fayde aur nuksan, Green tea benefits in hindi ka ye lekh kaisa laga hame bataye aur agar aap ke pass weight loss, hair or skin ke liye green tea peene ke fayde se jude sujhav hai to hamare sath share kare.
The post ग्रीन टी पीने के 10 फायदे और नुकसान – Green Tea Benefits in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.
No comments:
Post a Comment