Face aur balo ke liye multani mitti ke fayde in hindi: Pimples aur kil muhase ka ilaj karne, face par glow lane aur sundar baal pane ke liye multani mitti ka face pack lagana sabse aasan aur acha upay hai. Skin oily ho ya dry har tarah ki skin par iska paryog kar sakte hai. Ye tvacha par jama gandagi ko saaf kar ke tvacha chamakdar karta hai. Chehre ke sath sath rukhe hairs ke liye bhi iska upyog kiya jata hai. Bahut se logo ka sawal hota hai ki chehre aur balo par multani mitti kaise lagate hai aur ye mitti kaha milti hai. Aaj is lekh me hum multani mitti lagane ka tarika aur iske fayde janenge, multani mitti benefits for face and hair in hindi.
मुल्तानी मिट्टी के फायदे और लगाने का तरीका
Multani Mitti Ke Fayde Face Ke Liye Hindi Me
1. Oily skin ke liye multani mitti sabse jada upyogi hai. Gulab jal, multani mitti aur nimbu ka ras mila kar iska face pack apne chehre par lagaye aur 30 minute baad face wash kare. Is upay se tvacha me jama tel bahar nikalta hai.
2. Dry skin ka face mask banane ke liye multani mitti, badam face pack aur doodh mila kar tvacha par lagaye aur 20 minute baad chehre ko saaf kare. Is upay se tvacha naram aur mulayam hone lagti hai.
3. Chehre par nikhar aur chamak lane ke liye multani mitti me shahad aur gulab jal mila kar ek gadha paste bana kar face par lagaye aur 30 minute baad wash kar le.
4. Sawali tvacha ke liye gajar ka gudda, jaitun ka tel aur multani mitti ka paste bana kar face par lagaye aur 30 minute baad saaf kare.
5. Chehre ke daag dhabbe hatane ke liye gulab jal, neem aur multani mitti se face pack banaye. Jo log muhase aur daag wali tvacha se pareshan rehte hai unke liye ye upay kafi upyogi hai.
6. Tvacha ki rangat ko thik karne ke liye vitamin E ke 2 capsule, multani mitti aur papite ke chilke ka paste banaye. Is mask ko 20 minute tak chehre par lagane ke baad saaf kar le.
7. Tamatar ka gudda, dahi, multani mitti aur khire ka ras mila kar iska paste 20 minute ke liye face par lagaye. Is gharelu nuskhe se chehra saaf hota hai aur tvacha chamakdar hoti hai.
8. Chandan powder aadha chammach, chutki bhar haldi powder aur 2 chammach multani mitti le, agar aapki skin oily hai to isme paani ya nimbu ka ras milaye aur agar skin dry hai to doodh mila kar paste banaye. Chandan chehre se muhase ke nishan saaf karne me mdad karta hai. Is face pack se tvacha se daag saaf hone lagte hai.
9. Pudine ke patte pees kar iske paste me dahi aur multani mitti mila kar lagane se chehre ke daag dhabbe dur hote hai.
10. Chehre ki jhuriya saaf karne ke liye 1 bada chammach multani mitti, dahi aur 1 anda fod kar iska paste face par lagaye aur 20 minute baad gungune pani se dho le.
बालों के लिए मुल्तानी मिट्टी के फायदे – Multani Mitti Benefits For Hair in Hindi
- Do muhe balo ke ilaj ke liye raat ko balo par tel lagaye aur agli subah multani mitti me dahi mila kar iska paste balo ki jado se le kar end tak lagaye. Jab ye paste sukh jaye tab thande paani se baal dho le.
- Baal rukhe ho to aadha cup dahi, 3 se 4 chammach multai mitti, 2 chammach shahad aur aadha cup nimbu mila kar balo par lagaye aur 20 minute ke baad baal dho le.
- Oily hairs ke liye multani mitti ko 4 ghante tak paani me bhigo kar rakhe fir isme me reetha powder milaye aur 30 minute ke baad balo par lagaye. Is paste ko 10 minute tak balo pe laga rehne de fir thande paani se dho le.
- Baal sidhe karne me bhi multani mitti ka upyog kar sakte hai. 5 chammach chawal ka aata, 1 cup multani mitti aur 1 anda mila kar balo par lagaye fir kanghi se baal sidha kare. Jab ye pack sukh jaye to baal dho kar shampoo kare aur fir conditioner se baal dho kar sukha le.
- Multani mitti kaha milti hai agar aapke man me bhi ye sawal hai to aap baba ramdev patanjali ke store se le sakte hai.
Dosto multani mitti ke fayde face aur balo ke liye in hindi ka ye lekh kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass multani mitti ke benefits aur lagane ka tarika se jude koi sujhav hai to hamare sath share kare.
The post चेहरे और बालों के लिए मुल्तानी मिट्टी के फायदे – Multani Mitti in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.
No comments:
Post a Comment