गला खराब होने और बैठने पर 10 घरेलू उपाय – Gala Kharab Ke Upay in Hindi | Alienture हिन्दी

Breaking

Post Top Ad

X

Post Top Ad

Recommended Post Slide Out For Blogger

Wednesday, 10 January 2018

गला खराब होने और बैठने पर 10 घरेलू उपाय – Gala Kharab Ke Upay in Hindi

Gala kharab hone par gharelu upay aur ilaj in hindi: Sardi ke mausam me sardi jukam, bukhar aana, gala kharab hona aur aawaj baith jane ki samasya hona aam hai, par thand ke ilaava gale me infection, chale, sujan, khansi, dard aur kharash ke karan bhi gala baithne aur kharab hone lagta hai jis karan kuch bhi khane aur nigalne me pareshani hoti hai. Kuch log gala baith jane par treatment ke liye dawa lete hai par hum bina medicine ke desi ilaj aur gharelu nuskhe se gala kharab ka upchar kar sakte hai. Aaiye jane gala baithne par kya kare, gala kharab home remedy in hindi.

गला खराब होने पर क्या करे, Gala kharab hone par gharelu upay in hindi

 

गला खराब होने के कारण – Gala Kharab Hone Ke Karan

  • Thand lagna aur sardi jukam hona gale ke rog ka ek karan hota hai.
  • Gusse me jada jor se chilane par gala baithne lagta hai.
  • Unchi aawaj me gana gaane ya kuch padhne se gala baith jata hai.
  • Jada khatta aur masaledar khane se gala kharab ho sakta hai.
  • Gale me chale, sujan, khansi, kharash aur gale ka cancer jese rog se aawaj baith jaati hai.
  • Gale me balgam (cough) jam jaane se aawaj kharab ho jati hai aur bolne me pareshani hoti hai.

 

गला खराब होने पर घरेलू उपाय और इलाज

Gala Kharab Hone Par Gharelu Upay in Hindi

 

1. Gala kharab hone par namkin paani se grare karna achuk upay hai. Paani me thoda namak mila kar gunguna kare aur isse grare kare.

2. Mulethi ko munh me rakh kar chabaye aur iske ras ka sevan karne se gala saaf hota hai aur sath hi gale ki sujan aur dard se bhi rahat milti hai.

3. Tulsi ki pattiyon me gale ka infection dur karne ke gun hote hai. Tulsi ki kuch pattiya paani me ubaal le aur ise thanda hone par is paani se garare kare. Din me 2 se 3 bar ye upay karne par gala saaf hone lagega.

4. Gale ki kharash aur sukhi khansi ka ilaj ke liye pisi hui adarak me thoda gud aur ghee mila kar khaye. Isme shahad ka pryog bhi kar sakte hai.

5. Methi ke daane paani me ubaal kar paani ko chaan le aur isse grare kare. Is gharelu nuskhe se gale ka infection khatam hota hai aur gale ki taklif dur hoti hai.

6. Ek gilass paani ubaal kar isme chutkti bhar kaali mirch, thodi si pisi hui laung aur 1 chammach shahad mila kar pine se gale ko aaram milta hai.

7. Paani me chai patti, chini aur tejpatta daal kar ubaale aur chaan kar ise piye. Isme chahe to doodh mila le. Tejpatte ki chai peene se gala jaldi thik hone lagta hai.

8. Sardi aur cough se pareshan hai to pyaaj ke ras ka sevan kare aur chahe to isme thoda gud ya shahad mila le.

9. Gale ke rog ka upchar karne ke liye gungune paani me sirka mila kar grare karne se bhi fayda milta hai.

10. Kuch bhi khane me pareshani ho rhi hai aur kuch bhi nigalne me dard ho rha hai to 1 gilass desi gaay ke doodh me 1 chammach desi ghee aur ek chauthai chammach haldi mila kar ubaale au rise chai ki tarah piye.

 

गला बैठ जाने पर क्या उपाय करे – Gala Baith Jane Ka ilaj in Hindi

  • Gala baith gya hai to 1 gilass gungune paani me 1 chammach shahad daal kar grare kare, isse aawaj khul jati hai aur gala thik hota hai.
  • Balgam hone ke karan gala baith jaye to saunth, daalchini, pudina aur hari chai ka kadha bana kar piye. Is upay se gale me jama cough bahar nikalti hai aur gala saaf hota hai.
  • Aawaj baithne par garam paani me thoda lehsun ka ras mila kar grare kare, isse gala saaf hoga aur aawaj thik hogi.
  • Bolne me pareshani ho rhi hai to 10 se 12 patte tulsi ke chba chba kar khaye, thodi der me hi gala saaf hone lagega aur aawaj khulne lagegi.
  • Gala baithne par treatment ke liye garam paani me namak daal kar grare karna sabse aasan aur acha upay hai.
  • Kaali mirch aur mishri muh me rakh kar chabaye aur iska ras chusne se baitha hua gala khul jata hai.

 

Dosto Gala kharab hone par gharelu upay, Gala baithna treatment home remedy in hindi ka ye lekh kais alga hame btaye aur agar aapke pass gale ke rog ka ilaj aur gala baith jaane par kya kare ke desi nuskhe aur ayurvedic upchar se jude suhav hai to hamare sath share kare.

The post गला खराब होने और बैठने पर 10 घरेलू उपाय – Gala Kharab Ke Upay in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad