रंग गोरा करने के लिए 5 घरेलू क्रीम – Beauty Cream Tips in Hindi | Alienture हिन्दी

Breaking

Post Top Ad

X

Post Top Ad

Recommended Post Slide Out For Blogger

Monday, 21 August 2017

रंग गोरा करने के लिए 5 घरेलू क्रीम – Beauty Cream Tips in Hindi

Rang gora karne wali gharelu cream in hindi: Bahut se boys aur girls apne chehre ka kalapan aur saawlapan dur karne ke liye rang gora karne ki cream ka name janna chahte hai. Kuch log chehra saaf karne ke liye aur face glow badhane ke liye dawa ka sahara bhi lete hai. Dosto bajar me milne wali gora hone ki dawa aur cream bahut mehngi hoti hai aur inke side effects bhi ho sakte hai. Aap gharelu nuskhe apna kar ghar par bhi cream bana sakte hai. Ye gharelu cream chehre ko sundar banane aur gora hone me fayda karte hai. Aaiye jane chehra saaf karne ki cream kaise banaye, natural ayurvedic home remedies for skin whitening homemade cream, beauty tips in hindi.

Kuch log gore chehre ke sath sath hath, pair, gala bhi gora karna chahte hai aur kuch log apne face ke pimples, chechak ke daag, kale daal dhabbe aur chot ke nishan hatana chahte hai. Skin ki koi bhi problem ho hum sab se pahle cream ka sahara lete hai par kya cream istemal kar ke hum gora ho sakte hai. Is sawal ka hamara jawab hai ki cream ki bajay agar rang gora karne ke gharelu upay kare to ache result mil sakte hai.

Rang gora karne wali gharelu cream, रंग गोरा करने वाली क्रीम का नाम

 

Rang Gora Karne Wali Gharelu Cream

Skin Whitening Homemade Tips in Hindi

Chehre ka rang saaf karne ke liye skin whitening cream aur dusre beauty products ki bajay gharelu nuskhe se banayi cream ka pryog kare to kam kharche aur bina side effect ke jaldi result mil sakta hai.

 

1. Doodh powder aur badam ka tel

Puri body ka rang gora karne ke liye doodh ka powder, 1 chammach nimbu ka ras aur aadha chammach badam ka tel mila kar gharelu cream banaye. Badam ka tel skin ko mulayam banata hai, nimbu skin ko chamakdar bnane aur doodh powder tvacha ko gora banane me mdad karti hai.

  1. Is cream ko jab bhi istemal karna ho tabhi fresh bana kar pryog kare. Face par lgane se pahle ache se dho kar saaf kar le. Ab ye cream apne face par lgaye aur aadhe ghante baad clean kar le.
  2. Cream lgane ke baad aankho par kheere ke tukde rakhe taki aankho ke dark circles saaf ho jaye aur rang gora ho.
  3. Gharelu tarike se rang gora karne ke upay me farak jaldi nhi dikhta isme thoda samay lagta hai isliye skin tone kare aur fairness ke liye in upayo ko har roj pryog kare.

 

2. Chehre par glow lane ki cream

  • Ye upay rang gora karne ke liye ek acchi gharelu cream hai. Ise banane ke liye ek bartan me 1 chammach chini, 2 cup doodh, 1 nimbu ka ras, 1 se 2 chutki fitkari powder mila kar 2 se 3 minute tak garam kare.
  • Ab ise freeze me rakhe aur thanda hone de. Is cream ko 15 se 20 minute ke liye face par lsgaye aur  fir dho le.
  • Chehre ka rang saaf kaise kare

 

3. Dahi haldi aur shahad se cream bnane ka tarika

Chehra saaf karne wali cream me 1 chammach shahad, 2 chammach nimbu ka ras, 1/4 cup dahi, badam ka powder aur 1 chota chammach haldi mila kar face pack bana le. Badam ka powder nimbu ke jese rang gora karne me asardar hai.

  • Is cream ko lgane se pahle face clean kar le aur ise har roj lgane se kuch hi dino me aap ko farak dikhne lagega.

 

4. Besan aur malayi ki cream banaye

  • 1 chammach malayi, 2 chammach besan, 1 chutki haldi aur 2 chammach nimbu ka ras mila le. Is gharelu skin cream ko 20 se 30 minute tak face par lgaye aur ddho le. Har roj is upay ko karne se aap ke face par nikhar aane lgega aur chehra chamakdar ho uthega.

 

5. Glycerin aur rose water

Gulab ka jal, nimbu ka ras aur glycerin ko brabar matra me mila le, aap ki cream tyar hai aap isme aelo vera ka ras bhi mila sakte hai.

 

Gora hone ki cream patanjali in hindi

Face beauty ke liye baba ramdev kai parkar ke gharelu tips btate hai jo pimples hatane, face glow karne aur chehre ko gora karne me upyogi hai. Agar aap gharelu upay aur nuskhe nhi kar sakte to baba ramdev patanjali beauty products istemal kar sakte hai.

  1. Saundarya swarn kanti fairness cream
  2. Patanjali tejas anti wrinkle cream
  3. Patanjali apricot face scrub
  4. Patanjali tejas body lotion
  5. Patanali body cleanser

 

Dry skin ke liye cream ke tips

Agar aap ki tvacha dry hai to 2 chammach nimbu ka ras, 2 chammach oats meal powder, 1 chammach olive oil aur 1 chammach dahi milaye aur 20 se 25 minute tak chehre par lgane ke bad chehra dho le.

  • Oat meal skin rashes aur irritation dur karta hai aur olive oil se skin ko nami aur poshan milta hai. Ye upay bajar me milne wali cream se kafi behtar hai.

 

Chehre ko sundar banane ke upay in hindi

  • Gori aur komal tvacha pane ke liye gajar ko kadukas kar ke paste bna le ab isme kakadi ka paste, besan, gulab jal milaye aur ek face pack bna le.
  • Ab ise apne face par lagaye aur 15-20 minute baad thande pani se dho le.
  • Is upay ko 15 se 20 din lagatar karne par chehre par nikhar aane lagega.
  • Chehre par gadde ho ya tvacha khurdari ho to gajar ko kaddukas kar ke isme 1 chammach shahad aur 1 chammach nimbu ka ras mila kar paste tyar kar le.
  • Is paste ko 15 minute ke liye lgaye aur dho le. 2 se 3 hafte is upay ko karne se chehre ke gadde gayab hote hai aur skin soft hoti hai.

 

Tags: रंग गोरा करने की क्रीम हिंदी में, रंग गोरा करने वाली क्रीम का नाम, चेहरा साफ करने की क्रीम, रंग गोरा करने के लिए क्रीम, पतंजलि गोरा होने की क्रीम का नाम, रंग गोरा कैसे करें, गोरे होने के घरेलू नुस्खे, चेहरा साफ करने के घरेलू उपाय, चेहरे पर चमक  ग्लो लाने के उपाय, चेहरे को सुंदर बनाने के उपाय, चेहरे का कालापन कैसे दूर करें, Rang gora karne wali gharelu cream, Rang gora karne ki cream in hindi, Rang gora karne wali cream ka naam, Gora hone ki cream patanjali, Baba ramdev beauty tips in hindi, Chehre ka rang gora karne ke gharelu nuskhe, Rang gora kaise kare.

The post रंग गोरा करने के लिए 5 घरेलू क्रीम – Beauty Cream Tips in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad