Liver kharab hone ke lakshan aur upay in hindi: Kisi rog ki shuruaat me agar uske symptoms ki pehchan ho jaye to samasya badhne se pahle uska ilaj kiya ja sakta hai. Liver kharab hone par liver ki garmi, fatty liver, liver cirrhosis, liver me sujan aur liver kamjor hona jesi problem hoti hai. Liver kharabi ke karan sharir ki kaam karne ki shamta kam ho jati hai aur sharir me kamjori aane lagti hai. Kuch log liver ke rog thik karne ke liye dawa ka sahara lete hai par aap bina medicine ke gharelu nuskhe aur ayurvedic upchar se liver ki kharabi aur kamjori ka ilaj ghar par aasani se kar sakte hai. Aaj is lekh me hum janenge liver thik se kam kar rha hai ya nahi iske lakshan aur upay kya hai, treatment and symptoms of liver problem in hindi.
लिवर की खराबी के कारण – Liver Ki Kharabi Ke Karan
- Dard nivarak dawao ka adhik sevan karne se liver ko nuksan pahunchta hai.
- Cancer, hepatitis aur sharir me maujood vishele tatvo ke karan liver par bura asar padta hai.
- Smoking aur sharab liver kharab hone ka bada karan hai. Inke adhik sevan se liver damage ho sakta hai.
- Hepatitis B aur C liver cancer ke parmukh karan hai.
- Motapa, diabetes aur kisi medicine ke side effect ke karan fatty liver ki samasya aane lagti hai.
- Khane peene me laparwahi karna aur fast food adhik khane se bhi liver problem hoti hai.
लिवर खराब होने के लक्षण और उपाय
Liver Kharab Hone Ke Lakshan in Hindi
1. Liver kharab ho gaya hai ya sahi se kaam nahi kar rha hai to munh se badboo aane lagti hai. Iske ilava fever nahi hone par bhi muh ka sawad kharab hona aur muh me kadwapan bana rehna bhi liver ki kharabi ke lakshan hai.
2. Jada thakan hona, skin par rukhapan aana, aankho ke niche dark circles ho jana bhi liver kharab hone ki pehchan hai. Liver kamjor hone par skin ko nuksan hona aur baalo se judi samasya hone lagti hai.
3. Liver ka kaam sidhe pachan kriya se juda hota hai aur isme kharabi aane par bhukh naa lagna, pet me gas banana, pet me bharipan aur seene me jalan jesi problems aati hai.
4. Gehre rang ka peshab aane lage to liver me gadbadi ke sanket hai, par agar aesa sirf ek bar hi hota hai to ye paani ki kami ke karan ho sakta hai.
5. Aankho me peelapan aana, nakhun peele dikhna piliya hone ke lakshan hai jiska matlab hai liver me infection hai.
6. Liver me fat jamne se fatty liver problem hoti hai jisse pet me sujan aa jati hai jisko hum motapa samjh lete hai.
7. Pet me upar daayi taraf dard hona bhi liver ke rog ke sanket ho sakte hai.
लिवर की खराबी का घरेलू इलाज – Liver Kharab Hone Par Upay in Hindi
- Liver ke rog thik karne ke liye papita bhut faydemand hai, khaskar liver cirrhosis ke ilaj me. 2 chammach papite ka ras aur aadha chammach nimbu ka ras mila kar har roj piye. Ek mahine tak is gharelu upay ko karne se is rog se rahat milti hai.
- Aawla ayurveda me ramban aushadhi mana gya hai. Isme vitamin C bharpur matra me hota hai. Liver ki kamjori dur karne aur sahi tarike se kaam karne ke liye aawla me jaruri poshak tatav mayjood hote hai. Liver ko swasth rakhne ke liye har roj 3 se 4 aawle khane chahiye.
- Apple cider vinegar jise seb ka sirka jise ke naam se jante hai, ye liver me maujood hanikarak pdarth bahar nikalne ka kaam karta hai. 1 gilass paani me 1 chammach seb ka sirka mila kar sevan kar sakte hai.
- Liver kharab hone par upay ke sath sath aahar me roti naa kha kar yak am khaye aur fal sabjiyo ka sevan adhik kare. Sabji me masale ka paryog na kare aur ghee aur tali hui chio ka sevan kam kare.
- Aahar me tamatar, gajar, karela, palak, bathua, lauki, hari sabjiya, aanwla, jamun, lichi, seb aur chaach ka pryog kare.
लिवर की देखभाल कैसे करे – Liver ki dekhbhal kaise kare
- Sharab aur smoking ka sevan kam karna chahiye.
- Khane peene me laparwahi nhi karni chahiye aur fast food khane ki bajay poshtik aahar khaye.
- Bina doctor ki salah ke dard nivarak dawa ka adhik sevan nahi kare.
- Apni diet me vitamin aur minerals se bharpur food shamil kare.
- Din bhar me 8 se 10 gilass paani piye, isse sharir ki gandagi bahar nikalti hai aur liver saaf hota hai.
- Yoga aur exercise ko apni dincharya me shamil kare isse body me blood ka circulation acha hota hai.
Dosto Liver kharab hone ke lakshan, Symptoms of liver problem in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass liver ki kharabi ke lakshan ilaj upay aur desi gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.
The post लिवर खराब होने के लक्षण और 5 आसान उपाय – Liver Problem in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.
No comments:
Post a Comment