Pet dard ke upay aur gharelu ilaj in hindi: Aaj kal hamare khane peene ke tarike aur galat jivanshely bahut si bimariyo ki ek badi vajah hai. Pachan kamjor hone se pet dard marod aur jalan jese kai rog pareshan karne lagte hai. Bahut se lod pet ki samasya ke samadhan ke liye medicine lete hai. Aaj hum is lekh me kuch aese gharelu upay aur nuskhe janege jo pet ke rogo se chutkara dilane ke sath sath pachan ko bhi majbut karne me asrdar hai. Aaiye jane gharelu nuskhe for stomach problems in hindi.
Pet me dard ke karan
- Subh thik se pet saaf nahi hona
- Kabj aur gas ki shikayat rehna
- Pet me jalan marod aur acidity rehna
- Loose motion lagna
- Kuch galat kha pi lena
Pet dard ke upay aur gharelu ilaj in hindi
Pet ke dard se jaldi nijat pane ke liye bahut se log dard nivarak dawa ka pryog karte hai. In dawao se dard se rahat to milti hai par pet ki samasya dur nahi hoti. Aaiye kuch aese nuskhe jante hai jo pet ki samasya ko dur karne me upyogi hai.
1. Pet ki samasya se chutkara pane ke liye bajar me kai parkar ke churan uplabdh hai par aap pet ka dard thik karne ke liye ghar par churn bna sakte hai. Saunth, hing, pudeena, jeera, dhaniya, kali mirch, is sab ko ek saman matra me le aur pees kar churn bna le. Ab isme thoda kala namak mila ke gungune pani ke sath sevan kare. Is nuskhe se pet dard se jaldi nijat milegi.
2. Ajwaine pet ke rogo me bahut upyogi hai. Tave par ajwaine ko bhun kar is me thoda kala namak mila kar iski 3-4 gram matra gungune pani ke sath le. Din me 2-3 bar is upay ko karne se stomach pain me aaram milta hai. Aap ajwaine me kala namak, jeera aur nimbu ka ras bhi mila kar le sakte hai.
3. Pet dard ke ilaj me hing ka istemal karna bhi kafi asrdar hai. Agar bacche ke pet me dard ho to hing ko pani me pees kar iska lep nabhi ke aaspass lagaye. Isse pet ki gas aur dard se rahat milegi.
4. Isabgol ko dudh ke sath lene se pet ke dard se rahat milti hai. Raat ko sone se pahle isabgol ka sevan karne se subh pet ache se saaf hota hai.
5. Pet me marod uth rahi ho to tulsi ke ras ka sevan karne se marod shant hoti hai aur pet dard dur hota hai.
6. Pani me meethi ke beej pees kar iska paste bnaye aur dahi ke sath din me 2 bar iska sevan kare. Is upay se pet ke sabhi parkar ke rogo me aaram milta hai.
7. Jeera pet ke rogo me ramban kam karta hai. 4-5 gram jeera tave par bhun kar din me 2-3 bar sevan karne se pet dard me rahat milti hai. Agar jeere ko chba kar khaya jaye to jaldi rahat milti hai.
8. Pet me gas, dard, kabj aur acidity jese rogo ke upchar me triphala churan din me 2-3 bar pani ke sath le.
9. Adarak ka ek tukda muh me rakh kar iska ras chusne se pet ke dard aur marod me aaram milta hai. 1 chammach nimbu ka ras, 1 chammach adarak ka ras aur thodi si chini mila kar sevan karne se pet ke dard me turant rahat milti hai.
10. Mulli par kali mirch aur kala namak daal kar khane se pet ki sabhi parkar ke rogo me aaram milta hai.
Pet dard ke desi nuskhe aur upchar
- Raat ko sone se pahle 10-15 gram saunf 1 gilass pani me bhigo kar rakhe aur subh is pani ko chan kar piye.
- Pet dard me pyaj ka ras bhi upyogi hai. Pyaj ko to kar iska ras nikal le aur isme namak mila kar sevan kare.
- Acidity ki vajah se agar pet ard ho rha hai to thoda meetha soda 1 gilass pani me mila kar piye. Is upay se pet dard aur acidity se rahat milegi.
- Kai bar pet me infection ya kisi any bimari ke karan pet dard hota hai. Agar upay karne ke bad bhi dard se rahat nhi mil rhi to doctor se mil kar janch karaye.
Dosto Pet dard ke upay aur gharelu ilaj in hindi ka ye lekh kais alga hame btaye aur agar aapke pass stomach pain treatment ke nuskhe ya koi sujhav hai to hamare sath share kare.
The post पेट दर्द का इलाज के 10 आसान घरेलू उपाय और नुस्खे appeared first on Kya Kyu Kaise.
No comments:
Post a Comment