Kamar dard ka ilaj aur gharelu upay in hindi: Back pain ki samasya se aajkal bahut log pareshan rehte hai. Ye shikayat vese to 40 saal se adhik umar ke logo me hoti hai par nojwano me bhi kamar dard ki shikayat badhti jar hi hai. Agar samay rehte hi is samasya ka samadhan na kiya jaye to ye dard kamar se kulho me fir dhire dhire pairo me aane lagta hai aur pidit vyakti ko chalne firne me bhi taklif hone lagti hai. Bahut se log back pain se chutkara pane ke liye medicine khate hai par fir bhi jada aaram nahi milta. Aaj is lekh me hum kuch aese gharelu nuskhe aur upay janege jo bina dawa ke kamar dard se chutkara pane me upyogi hai.
Apne kaam aur kuch daily routine activity ki vajah se jin logo ka uthna baitha jada hota hai unhe slip disc aur back pain ki shikayat jada hoti hai. Kabhi kabhi peeth ka dard kuch hi der me thik ho jata hai par kai bar ye dard lambe samay tak pareshan karta hai.
Kamar dard ka karan
- Kamar me jhatka lagna
- Achanak se jhukna
- Peet me chot lagna
- Lambe samay take k hi jagah baithe rehna
- Galat tarike se uthna baithna
- Jada der tak jhuk kar ya let kar koin kaam karna
- Pregnancy me bhi pregnant lady ko back pain hota hai
- Umar badhne ke sath sath maspeshiya aur haddiya kamjor hona
Back pain ke lakshan
- Pairo me kamjori aana
- Kamar me dard hona
- Pair sun panda
- Jhukne aur chalne firne me taklif hona
Kamar dard ka ilaj ke upay in hindi
1. Kamar me dard ki shikayat hone par ise najarandaj naa kare. Aesi sthiti me upay aur dawa ke sath sath apni jivanshely me bhi sudhar ki jarurat hoti hai.
2. Kamar seedhi rakhe aur aese kaam karne se bache jisme kamar ko jhukana pade.
3. Peeth me dard ho rha hai ya fir slip disc ki shikayat hui hai to rogi ko 15 se 20 din tak puri tarah aaram karna chahiye.
4. Manspeshiyo me majbuti ke liye aur dard dur karne ke liye doctor se salah le kar kuch medicine shuru kar sakte hai.
5. Agar aap ghanto lgatar ek hi jagah baith kar kaam karte hai to is aadat me badlav laye. Lagatar ek jagah baithne ki bajay kaam ke beech thoda break le kar sharir ko aaram de.
6. Pet badhne se bhi iska asar kamar par padta hai. Aese me apne khane peene par dhyan de aur aese cheje khane se parhej kare jisse pet me charbi badhe.
7. Jab bhi kisi kursi ya table par baithe apne pairo ko seedha rakhe aur jhuk kar na baithe. Ek hi posture me lambe samay tak baithna thik nahi hai.
8. Raat ko son eke liye sakht gadda paryog kare. Kamar dard hone kim sthiti me mulayam gadde ka istemal na kare. Sakht gadde par letne se kamar sidhi rahegi aur puri kamar par ek saman dabav aayega.
9. Dard wale hisse par burf se sikai kare. Is upay se sujan me kami aayegi aur dard kam hone lagega.
10. Koi bhi bhari cheej na uthaye. Jada jaruri ho to bhari xheej uthane ki bajay use dhakelne ka paryas kare. Agar niche jameen se koi cheej uthai pade to use utha kar pahle kisi table par rakhe.
11. Apne sandle aur shooes ka chayan bhi soch samjh kar kare. High heels wale sandal aur jute na pahne.
12. Agar aap ko lambi duri tak car chalani hai to kamar ke peeche koi takiya rakhe taki kamar aur garden seedhi rahe.
13. Apne bhojan me kheera, gobhi, tamatar, chakundar, gajar, palak, kakdi aur fruits shamil kare.
Kamar dard ke gharelu nuskhe in hindi
- Lahsun kamar dard me natural pain killer ki tarah kaam karta hai. Apne bhojan me lehsun ka sevan adhik kare.
- 5 laung, 5 kali mirch pees kar isme sukhi hui adarak ko pees kar uska powder milaye. Ab iska ek kadha bna kar chai ki tarah piye.
- 2 gram dalchini powder 1 chamach shahad me mila kar din me 2 bar sevan karne se kamar dard kam hone lagta hai.
- Apne aahar me aesi chije adhik khaye jinme calcium aur vitamin D adhik ho. Har roj kuch der dhoop me baithe aur din me 2 bar dudh peene ki aadat dale.
- Namak wale gungune pani me 1 toliya bhigo kar dard wali jagah par bhap dene se bhi aaram milta hai.
Kamar me dard ke liye baba ramdev yoga
- Halasana
- Bhujangasana
- Makarasna
- Kamar ghumana
- Chakrasana
- Ardha matsyendrasana
Dosto kamar dard ka ilaj ke upay aur gharelu nuskhe in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass back pain treatment se jude sujhav hai to hamare sath share kare.
The post कमर दर्द का इलाज के आसान उपाय और 5 घरेलू नुस्खे appeared first on Kya Kyu Kaise.
No comments:
Post a Comment