Ilzaam Shayari | इल्जाम शायरी | Alienture हिन्दी

Breaking

Post Top Ad

X

Post Top Ad

Recommended Post Slide Out For Blogger

Friday 14 June 2019

Ilzaam Shayari | इल्जाम शायरी

Ilzaam Shayari, Hindi, Famous, Latest, 2 Line, 4 Line, WhatsApp, Facebook, Images, Pics, इल्जाम शायरी

*****

उदास जिन्दगी, उदास वक्त, उदास मौसम
कितनी चीजो पे इल्जाम लगा है तेरे ना होने से

Udas zindagi, udas waqt, udas mausam
Kitani cheezon pe ilzaam laga hai tere na hone se

Gham Shayari | ग़म शायरी

Ilzaam Shayari

Ilzaam Shayari

*****

हँस कर कबूल क्या कर ली सजाएँ मैंने
ज़माने ने दस्तूर ही बना लिया हर इलज़ाम मुझ पर मढ़ने का

Has kar kabool kya kar li sajayen maine
Jamane ne dastoor hi bana liya har ilzaam mujh par madhne ka

*****

दिल की ख्वाहिश को नाम क्या दूँ
प्यार का उसे पैगाम क्या दूँ
दिल में दर्द नहीं, उसकी यादें हैं
अब यादें ही दर्द दे तो उसे इल्ज़ाम क्या दूँ

DIl ki khawahish ko naam kya doon
Pyaar ka use paigam kya doon
Dil mein dard nahin, uski yaadein hain
Ab yaadein hi dard de to use ilzaam kya doon

*****

सबको फिक्र है अपने आप को सही साबित करने की
जैसे जिन्दगी नहीं कोई इल्जाम है

Sabko fikr hai apne aap ko sahi sabit karne ki
Jaise zindagi nahi koi ilzaam hai

*****

लफ्जों से इतना आशिकाना ठीक नहीं है ज़नाब
किसी के दिल के पार हुए तो इल्जाम क़त्ल का लगेगा

Lafzon se itna aashiqana theek nahin hai janab
Kisi ke dil ke paar hue to ilzaam qatl ka lagega

Ehsaas Shayari | एहसास शायरी

2 line Ilzaam Shayari

2 Line Ilzaam Shayari

*****

ये मिलावट का दौर हैं “साहब” यहाँ
इल्जाम लगायें जाते हैं तारिफों के लिबास में

Ye milawat ka daur hain “Sahab” yahan
Ilzaam lagayen jaate hain taarifon ke libaas mein

*****

कोई इल्जाम रह गया हो तो वो भी दे दो
पहले भी हम बुरे थे, अब थोड़े और सही

Koi ilzaam rah gaya ho to wo bhi de do
Pahle bhi ham bure the, ab thode aur sahi

*****

बेवजह दीवार पर इल्जाम है बंटवारे का
कई लोग एक कमरे में भी अलग रहते हैं

Bewajah deewar par ilzaam hai batwaare ka
Kai log ek kamre mein bhi alag rahte hain

*****

मेरी नजरों की तरफ देख जमानें पर न जा
इश्क मासूम है इल्जाम लगाने पर न जा

Meri nazaron ki taraf dekh jamane par na ja
Ishq masoom hai ilzaam lagane par na ja

*****

चिराग जलाने का सलीका सीखो साहब
हवाओं पे इल्ज़ाम लगाने से क्या होगा

Chiraag jalane ka saleeqa seekho saahab
Hawaon pe ilzaam lagaane se kya hoga

Dil Shayari | दिल शायरी

Latets Ilzaam Shayari

*****

दुनिया को हकीकत का मेरी पता कुछ भी नहीं
इल्जाम हजारो हैं और खता कुछ भी नहीं

Duniya ko haqeeqat kameri pata kuchh bhi nahin
Ilzaam hazaron hai aur khata kuchh bhi nahin

*****

जिस के लिए सब कुछ लुटा दिया हमने
वो कहते हैं उनको भुला दिया हमने
गए थे हम उनके आँसू पोछने
इल्ज़ाम दे दिया की उनको रुला दिया हमने

JIs ke liye sab kuchh luta diya hamne
Wo kahte hain unko bhula diya hamne
Gaye the ham unke aansoo pochhane
Ilzaam de diya ki unko rula diya hamne

*****

हर इल्ज़ाम का हकदार वो हमें बना जाते हैं
हर खता की सजा वो हमें सुना जाते हैं
और हम हर बार खामोश रह जाते हैं
क्यों कि वो अपने होने का हक जता जाते हैं

Har ilzaam ka haqdar wo hamein bana jate hain
Har khata ki saza wo hamein suna jate hain
Auur ham har baar khamosh rah jate hain
Kyonki wo apne hone ka haq jata jate hain

*****

बस यही सोच कर कोई सफाई नहीं दी हमने
कि इल्ज़ाम झूठे ही सही पर लगाये तो तुमने हैं

Ba syahi soch kar koi safai nahi di hamne
KI ilzaam jhuthe hi sahi par lagaye to tumne hain

Dillagi Shayari | दिल्लगी शायरी

Famous Ilzaam Shayari

*****

बेवफाई मैंने नहीं की है मुझे इल्ज़ाम मत देना
मेरा सुबूत मेरे अश्क हैं मेरा गवाह मेरा दर्द है

Bewafai maine nahi ki hai mujhe ilzaam mat dena
Mera saboot mere ashq hain mera gawah mera dard hai

*****

हर बार हम पर इल्ज़ाम लगा जाते हो मोहब्बत का
कभी खुद से पूछा है इतने हसीन क्यों हो

Har baar ham par ilzaam laga jate ho mohabbat ka
Kabhi kud se puchha hai itane haseen kyon ho

*****

खुद न छुपा सके वो अपना चेहरा नकाब में
बेवजह हमारी आँखों पे इल्ज़ाम लग गया

Khud na chhupa sake wo apna chehara naqaab mein
Bewajah hamari aankho pe ilzaam laga gaya

*****

अब भी इल्जाम-ए-मोहब्बत है हमारे सिर पर
अब तो बनती भी नहीं यार हमारी उसकी

Ab bhi ilzaam-e-mohabbat hai hamre sir par
Ab to banti bhi nahi yaar hamari uski

*****

अधूरी हसरतो का आज भी इल्ज़ाम है तुम पर
अगर तुम चाहते तो यह मोहब्बत खत्म न होती

Adhoori hasrato ka aaj bhi ilzaam hai tum par
Agar tum chahate to yah mohabbat khatm na hoti

*****

जान कर भी वो मुझे जान न पाए
आज तक वो मुझे पहचान न पाए
खुद ही कर ली वेबफाई हमने
ताके उन पर कोई इल्ज़ाम न आये

Jaan kar bhi wo mujhe jaan na paye
Aaj tak wo mujhe pahchaan na paye
Khud hi kar li bewafai hamne
Yaqi unpar koi ilzaam na aaye

Aarzoo Shayari | आरज़ू शायरी

4 Line Ilzaam Shayari

4 Line Ilzaam Shayari

*****

तू ने ही लगा दिया इल्ज़ाम-ए-बेवफ़ाई
अदालत भी तेरी थी गवाह भी तू ही थी

Tu ne hi laga diya ilzaam-e-bewafai
Adalat bhi teri thi gawah bhi tu hi thi

*****

हर बार इल्जाम हम पर ही लगाना ठीक नहीं
वफ़ा खुद से नहीं होती खफा हम पर होते हो

Har baar ilzaam ham par hi lagana theek nahin
Wafa khud se nahin hoti khafa ham par hote ho

*****

हर इल्जाम का हकदार वो हमे बना जाते है
हर खता कि सजा वो हमे सुना जाते है
हम हर बार खामोश रह जाते है
क्योकी वो अपना होने का हक जता जाते है

Har ilzaam ka haqdaar wo hame bana jate hai
Har khata ki saza wo hame suna jate hai
Ham har baar khamosh rah jate hai
Kyonki wo apne hone ka haq jata jate hain

*****

मोहब्बत तो दिल से की थी, दिमाग उसने लगा लिया
दिल तोड़ दिया मेरा उसने और इल्जाम मुझपर लगा दिया

Mohababt to dil se ki thi, deemag use laga diya
Dil tod diya mera usne aur ilzaam mujh par laga diya

*****

दिल पे आये हुए इल्ज़ाम से पहचानते हैं
लोग अब मुझको तेरे नाम से पहचानते हैं

Dil pe aaye hue ilzaam se pahchante hain
Log ab mujhko tere naam se pahchante hain

Barish Shayari | बारिश शायरी

Ilzaam Shayari Images

*****

तू कहीं भी रहे, सिर तुम्हारे इल्ज़ाम तो हैं
तुम्हारे हाथों के लकीरों में मेरा नाम तो हैं

Tu kahi bhi rahe, sir tumhare ilzaam to hain
Tumhare hathon ki laqeeron mein mera naam to hain

*****

तुम मेरे लिए कोई इल्जाम न ढूँढ़ो
चाहा था तुम्हे, यही इल्जाम बहुत है

Tum mere liye koi ilzaam na dhoondho
Chaha tha tumhe, yahi ilzaam bahut hai

*****

हमारे हर सवाल का सिर्फ़ एक ही जवाब आया
पैगाम जो पहुँचा हम तक बेवफ़ा इल्जाम आया

Hamare har sawal ka sirf ek hi jawwab aaya
Paigam jo pahuncha ham tak bewafa ilzaam aaya

*****

बेवफ़ा तो वो ख़ुद हैं, पर इल्ज़ाम किसी और को देते हैं
पहले नाम था मेरा उनके लबों पर, अब वो नाम किसी और का लेते हैं

Bewafa to wo khud hain, par ilzaam kisi aur ko dete hain
Pahle naam tha mera unke labon par, ab wo naam kisi aur ka lete hain

*****

इल्ज़ाम लगा देने से बात सच्ची नही हो जाती
दिल पे क्या बीतती हैं किसी से कही नही जाती

Ilzaam laga dene se baat sachhi nahi ho jati
Dil pe kya bitti hain kisi se kahi nahi jati

*****

करता हूँ तुमसे मोहब्बत मरने पर इल्जाम होगा
कफ़न उठा के देखना होठों पर तेरा नाम होगा

Karta hoon tumse mohabbat marne par ilzaam hoga
Kafan utha ke dekhna hontho par tera naam hoga

*****

मेरे दिल की मजबूरी को कोई इल्जाम ना दे
मुझे याद रख बेशक मेरा नाम ना ले
तेरा वहम है की मैंने भुला दिया तुझे
मेरी एक सांस ऐसी नही जो तेरा नाम ना ले

Mere dil kim majboori ko koi ilzaam na de
Mujhe yaad rakh beshaq mera naam na le
Tera waham hai ki maine bhula diay tujhe
Meri ek saans aesi nahi jo tera naam na le

Aankhein Shayari | आँखे शायरी

Ilzaam Shayari Pics

*****

मुझे इश्क है बस तुमसे नाम बेवफा मत देना
गैर जान कर मुझे इल्जाम बेवजह मत देना
जो दिया है तुमने वो दर्द हम सह लेंगे मगर
किसी और को अपने प्यार की सजा मत देना

Mujhe ishq hai bas tumse naam bewafa mat dena
Gair jaan kar mujhe ilzaam bewajah mat dena
Jo diya hai tumne wo dard ham sah lenge magar
Kisi aur ko apne pyar ki saza mat dena

*****

इल्जाम जो तुमने दिए, साथ लिए फिरता हूँ सदा
खिताब जो मिले दुनिया से, अलमारी में कैद है

Ilzaam jo tumne diye, saath liye firta hoon sada
Khitaab jo mile duniya se, almari mein qaid hai

*****

झूठे इल्जाम, मेरी जान, लगाया ना करो
दिल है नाज़ुक, इसे तुम ऐसे दुखाया ना करो

Jhuthe ilzaam, meri jaan, lagaya na karo
Dil hai nazuk, ise tum aese dukhaya na karo

*****

हुस्न वालों ने क्या कभी की ख़ता कुछ भी
ये तो हम हैं सर इलज़ाम लिये फिरते हैं

Husn walon ne kya kabhi ki khata kuchh bhi
Ye to ham hain sar ilzaam liye firte hain

*****

ये हुस्न तेरा ये इश्क़ मेरा
रंगीन तो है बदनाम सही
मुझ पर तो कई इल्ज़ाम लगे
तुझ पर भी कोई इल्ज़ाम सही

Ye husn tera ye ishq mera
Rangeen to hai badnaam sahi
Mujh par to kai ilzaam lage
Tujh par bhi koi ilzaam sahi

*****

मेरी तबाही का इल्ज़ाम अब शराब पर हैं
मैं और करता भी क्या तुम पे आ रही थी बात

Meri tabahi ka ilzaam ab sharab par hain
Main aur karta bhi kya tum pe aa rahi thi baat

Aansu Shayari | Aansoo Shayari | आंसू शायरी

Ilzaam Shayari In Hindi

Ilzaam Shayari In Hindi

Ashq Shayari | अश्क शायरी

*****

The post Ilzaam Shayari | इल्जाम शायरी appeared first on Ajab Gajab.

1 comment:

  1. Very Nice Post & I'm Happy To Read This Article💞❤️ Keep Share More Updates I'm Regular Visitors !!
    झूठें इल्जाम शायरी Best Ilzaam Shayari

    ReplyDelete

Post Top Ad